Ek wajah ki talaash rehti hai

Standard

Is dil ko jeene ki tamanna ki talash rehti hai
wajah hi mil jaye ek wajah ki aas rehti hai
dhoonta rehta hai ye har jagah
nahi mili isko jeene ki ek bhi wajah
tanhaiyo me beth k sochta k yu hi din kaat lein
chup chaap in aanson ko khud me samete
zara duniya k sath thoda muskura lein
par har lamha yu hi kuch chubhta rehta hai
honth muskurate aur dil sisakta rehta hai
zindagi ko dekhte rahte hai hum yu hi khamosh bethe
aur waqt yu hi nazro se guzarta rehta hai
din guzarte hain..saal beet jate hain
aur dil yu hi bas thama rehta hai
log aate hain..mehfile sajti hain
dost bante hain..hasiya khilkhilati hain
par dil khamosh betha rehta hai
aksar hawa k jhauke yaado ki doli laate hain
ankho k paimane se khud hi aansu chalak jate hain
Aur fir bhi dil ko jeene ki tamanna ki talash rehti hai
wajah hi mil jaye ek wajah ki aas rehti hai
dhoonta rehta hai ye har jagah
nahi mili isko jeene ki ek bhi wajah
sooni wadiyo me kabhi aur tanha raasto par
ruk jata hai chalte chalte lamha is kadar
jaise pehle bhi mile hon hum us se
jaise pehchaan ho koi purani hum se
dekhta hai humari orr sawal bhari nazron se
poochta hai kab tak guzroge tum yu hi inn raaho se
kehta hai ab chhod do zidd aur sab ye bahane
dekhe hain tum jaise kahi kisseh purane
kab tak dhoondoge bahane jine k
kab tak hasoge dard chupa rakh kar
koi bahana nai aayega in soone raasto par
chhod do ye dor aur nikal jao aage naye rasto par
jitna muskuraoge utna hi dard milega
jab tak jiyoge tab talak hi chubhan bhari saans chalegi
par dil nai sunta ise jeene ki tamanna ki talash rehti hai
wajah hi mil jaye ek wajah ki aas rehti hai
dhoonta rehta hai ye har jagah
nahi mili isko jeene ki ek bhi wajah
ise jeene ki tamanna ki talash rehti hai
wajah hi mil jaye ek wajah ki aas rehti hai

About thegoldenrabab

Oh dear Nanak, Make my life your Golden Rabab. That shines in the world with your tunes and your words said in praise of the mighty lord. Oh dear guru, hold my hand and take me through these trying times. The darkness of the world and the painful spells of the destiny into the light and happiness of god's feet.

One response »

Leave a comment